Search This Blog

Wednesday, March 25, 2009

gita ki kahani meri jabani


Hosh me nahin hai hum

teri yaad aaye
to dil ko jalaye

dhuwen ke badle
teri yaadon ke rakh udaye

samajh me na aaye
kiya kya jaaye

tere bin jiya kaise jaye

ab to apna dhyan hi nahi rahta
mere dil me koi aur hai basta

din yu kat-te hain jaise mahina
aur har mahina saal
itna bura nahi tha
kabhi apna haal


yaadon me tere bikharne lage hain
khyalon me tere hum bahakne lage hain

yaaden ab teri jahar ban gayi hain
jahar ban ke saanson me ghulne lagi hain
saans bhi ab liya kaise jaaye
tere bin ab jiya kaise jaaye.

jab koi dil tut-ta hai

Kaisi thi wo manhus bela
Jab Chhod gayi tu mujhko akela
virah tera ab saha nahi jata
bin tere ab raha nahi jata

Bahut samjhaya is dil ko apne
Tut gaye tere wo sapne

Baat meri tu maan ab
Jehan se usko tu nikal ab
ashaon ki chadar odhe
tu kyu sota hai

jo tera nahi hai
uske liye tu kyu rota hai

dard usko bhi hota gar teri judaai ka
ahsas jara bhi hota teri tanhai ka

to tu yaha pada
ro nahi raha hota
narm julphon ki chhaon me
kahi so raha hota..........

Monday, March 23, 2009

Raste ka patthar

raste ka pathar hu 'main'
ghumne ko machalta hu,

par ye meri badkismati hai
ki dusron ki thokron pe chalta hu.


kab tak dhul bhari in rahon me
yuhi sota rahunga main

aur apni phuti kismat
per rota rahunga main

ek din meri kismat ko mujhpe tarash aaya
kahi se jhonka hawa ka barash aaya


bina soche, bina samjhe, main machal pada
tham kar uski bahon ko main chal pada

na raste ki thi khabar mujhko
na manjilon ki thi phikar

mauka mile na mile dubara ,
socha
ghumleten hai ab ji bharkar